Sunday, December 18, 2011

Maa tere doodh ka haq humse adaa kya hoga

Maa tere doodh ka haq humse adaa kya hoga

Tu jo naraz hui khush humse khuda kya hoga..
Maa tere doodh ka haq humse aada kya hoga

Yaad hai aaj bhi maa mujhko zamana mera
Mujhko School talak chodke aana tera
Sard jaadou ki khatarti hui raatou mai mujhe
Maa chupaleti thi mujhe pyar se baahou mai mujhe

Garmiyou mai mujhe anchal ki hawa deti thi
Phulne phalne ki tu mujhko duva deti thi
Raat bhar jag ke seene pe sulaya tune
Khud rahi bhuki magar mujhko khilaya tune

Tere dil jaisa kisi aur ka dil kya hoga
Maa tere doodh ka haq humse aada kya hoga
Tune aulad pe kya kuch nahi Qurbaan kiya
Apni neende humein di apna woh sukh chain diya

Log karte thai agar tujhse shikayat meri
Apni jaan par khelkar karti thi hifazat meri
Jab koi mujhko sataye tou bigadjati
Meri khatir kabhi jhagde par utar aati thi
Mere saansou mai tu moujud hai khusboo banker
Meri raatou mai chamakti hai tu jugnu banker

Tera dil todke dil mera bhala kya hoga
Maa tere doodh ka haq humse aada kya hoga
Yaad aati hai abhitak baatei teri
Mere rone se chalak jaati thi aankhein teri

Tu mujhe rota hua dekhkar rodeti thi
Apna sukh chain mere waste khodeti thi
Phir duaein mujhe de ab bhi sawar jaunga
Tu yunhi roti rahi tou mai marjunga
Hoga ehsaan gale badke lagale mujhko
Apne mamta bhare jannat mai chupale mujhko
Yahi ek raasta hai is ke siva kya hoga

Maa tere doodh ka haq humse aada kya hoga
Tujhko Allah ne kya khoob sharf baqsha
Zikar quran ke paarou mai tera aaya hai
Teri azmat ko farishtou ne i di hai
Yahi waliyou ne imamou ne gulami ki hai

Apne betou ke sitam haske uthaleti hai
Aur tu hai ke inhe phir bhi dua deti hai
Hai teri zaat pe Allah ki khudrat ko bhi naaz
Ho ijazat tou pahdhou mai tere anchal pe namaz
Martabe mai koi maa tujhse bada kya hoga

Maa tere doodh ka haq humse aada kya hoga

Wasta adam e hawa ka tujhe deta hu
Wasta shahe madina ka tujhe deta
Wasta deta hu hyder ki shujat ka tujhe
Wasta Fatima Zahra ki ibadat ka tujhe
Tu jo khush hogi tou khush honge Hussain aur Hassan
Warna veeran rahega mere jeevan ka chaman
Aye meri maa tu mera doodh na baqshegi agar
Aag douzaq ki jalayegi mujhe reh reh kar
Baad marne ke zara sonch mera kya hoga

Maa tere doodh ka haq humse aada kya hoga
:'( :'( :'(

No comments:

Nathuram Godse - The Man Who Killed Gandhi

Nathuram Godse - The Man Who Killed Gandhi (The Other Side of The Story)